LYRICS: POSTED BELOW..

Noha Credits:
Noha: Dil Hai Karbala Main
Nohakhwan: Mesum Abbas
Poet & Composer: Mazher Abidi
Backing Vocals: Rajab Ali, Munawwer Ali, Amanat Ali & Ghulam Abbas
Recorded at ODS Studios by M. Ovais Qureshi & M. Aamir Qureshi
Mixed and Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - Karachi)

Video Credits:
Director: Ali Arman Baltistani (TNA Productions)
D.O.P: Asad Purki
Edit & Post: M. Junaid Qureshi (JQ Productions)
Art Director/Cover Creatives: Yawer Damani (YAD Graphics)
Stills & Artwork Photography: Yawer Damani
Social Media Management: Mussaib Sajjad (IND)
Web Design: Asad Rizvi (USA)
Sarparast & Chief Organizer: Syed Baqar Naqvi (USA)
Special Thanks: Anjuman e Tiflan e Muslim (as)
English Subtitles & Translation: Ahmed Virani (USA)

LYRICS:
Ya Hussain (as)

HUSSAIN AS Ne Apna Dil ALLAH SWT Ko Ata Kiya
Aur ALLAH (swt) Ne HUSSAIN (as) Ko Laakhon Dil Ata Kiye

Karbala Karbala Karbala
Karbala Karbala Karbala

Ishq E KHUDA SWT..Karbala
Dars E Wafa..Karbala
Raahnuma..Karbala
Raah E Baqa..Karbala

Ghum Ki Dawa..
Haq Ka Pata..
Deen Ki Sada..
RAB Ki Ata..Karbala

Seeno'n Mein Hai Karbala
Zehno'n Mein Hai Karbala
Dharkano'n Mein Karbala
Saanso'n Mein Hai Karbala

Jo Kabhi Na Ja Saka..Karbala
Ho Ke Jo Bhi Aa Gaya..Karbala
Sun Sako To Do Dilo'n Ki Ek Hi Sada Hai

Dil Hai Karbala Mai
Dil Mai Karbala Hai

Sote Jagte Nigaah Mein Haramsara Hai

Dil Hai Karbala Mai
Dil Mai Karbala Hai

1) Zindagi Mein Aisa Koi Shakhs To Dikha Nahi
Jo Ye Keh De Karbala Mein Manga Aur Mila Nahi
Dhoondhte Ho Tum Kaha'n, Hai Yahi'n Pe La Maka'n
Karbala HUSSAIN Ki, HUSSAIN Ka Khuda Hai

2) Is Qadar Buland Ye Zameen Be Sabab Nahi
Tashnalab Ki Sarzamee'n Pe Koi Tashnalab Nahi
Rizq, Ilm, Aagahi, Mil Rahi Hai Zindagi
Jis Ke Haath Kat Gaye Yahan Wo Bant'ta Hai

Karbala Karbala Karbala
Karbala Karbala Karbala

IMAM JAFAR E SADIQ AS Farmate Hain
Momino Karbala Jaya Karo
Taki Tum Jannat Ke Rasto'n Se Anjaan Na Ho..

3) Zayeri Ka Jab Sharaf Mila HUSSAIN AS Ki Qasam
Pehli Baar Karbala Main Maine Jab Rakhe Qadam
Kaifiyat Bataaon Kya, Haal E Dil Sunaaon Kya
Aisa Lag Raha Tha Bas Yahi Watan Mera Hai

4) Har NABI Ko Karbala Dikhayi Hai KHUDA Ne
Karbala Ki Manzilat Batayi Hai KHUDA Ne
Zakhm Ho Ya Ho Qaza, Har Maraz Ki Hai Dawa
Sar Zameen E Karbala Ki Khaak Bhi Shifa Hai

5) Qarz Hai Yahi Lahu Pe Aur Farz Bhi Yahi
Majlis E HUSSAIN Ko Hai Waqf Saari Zindagi
Farsh E Ghum Bichayen Hum, Aur Alam Sajayen Hum
Bachpane Mein Walidain Se Yahi Suna Hai

YA ZEHRA (x4)

Abad Wallah YA ZEHRA
Maninsa HUSSAINA

YA ZEHRA (x4)

6) Wada SYEDA Se Jo Kiya Tha Wo Nibhayenge.. Ya ZEHRA
Aane Wali Nasl Ko Bhi Karbala Sunayenge.. YA ZEHRA
Ishq Ke Ye Marhale, Tai Karenge Ishq Se
Majlis E HUSSAIN Se Yahi Sabaq Mila Hai

7) Ghar Mein Jo Alam Saja Rahe Hain Hum..YA HUSSIAN
Majlis E Aza Kara Rahe Hain Hum.. YA HUSSAIN
Har Baras Ye Ghum Mana Rahe Hain Hum
Nauhe Marsiye Suna Rahe Hain Hum
Dawa Jab Kiya Hai To Saboot Bhi Diya Hai

8) ZAINAB e Hazeen Ne Qaid E Shaam Mai Yahi